har taraf jalwa-e-farozan hai

By faiz-tabassum-tonsviJanuary 9, 2022
har taraf jalwa-e-farozan hai
sahn-e-hasti mein ek charaghan hai
husn hi husn hai nigahon mein
zarra zarra guhar-badaman hai


phul to khil rahe hain gulshan mein
apni qismat hai apna daman hai
ai wafa-na-shanas waqt bata
aaj phir kis se ahd-o-paiman hai


zindagi se janam ka sath mera
zindagi mujh se kyon gurezan hai
aaj mausam hasin hai jaan-e-bahaar
aaj chaliye ki baad-o-baran hai


maujzan ek qulzum-e-khun hai
dubi dubi si nabz-e-dauran hai
sans lena nasib hai mujh ko
zindagi pe bhi tera ehsan hai


jis ko insaniyat se nafrat hai
ahd-e-hazir ye tera insan hai
jis ki takmil aaj tak na hui
main hun aur mere dil ka arman hai


'faiz' ko puchhte raho yaro
sunte hain ek ajib insan hai
35499 viewsghazalEnglish