har taraf parda-dar-e-zulmat hai ek tabassum ki phir zarurat hai thahri thahri hai waqt ki raftar aalam-e-ghaur mein mashiyyat hai hai guman kya yaqin ka saya aur yaqin wahime ki shiddat hai ishq bhi zindagi ki lanat tha aql bhi zindagi ki lanat hai khud-numai mein jo hijab rahe tirgi us ki ek alamat hai shor-e-tahsin-e-narawa se 'jamil' ye khamoshi basa-ghanimat hai