har taraf soz ka andaz judagana hai mutmain shama hai ya raqs mein parwana hai bartar-az-wahm-o-tasawwur mera mai-khana hai zindagi kya hai meri laghzish-e-mastana hai wo jo ek shauq-e-junun-saz ka afsana hai aankh shayad kahe dil to abhi diwana hai hosh aaya na kabhi main ne junun ko samjha dawar-e-hashr yahin tak mera afsana hai ab nigah un ki nigahon se mile ya na mile khud hi pahunchega jo taqdir ka paimana hai aap sun len to kuchh aa jae asar bhi shayad yun to har tarah mukammal mera afsana hai husn ek phul sahi nazuk-o-rangin lekin ishq se dur hai jab tak gul-e-virana hai kasrat-e-fahm ne itna bhi samajhne na diya main hun afsana ki duniya mera afsana hai ai khusha tala-e-bedar-e-mohabbat 'basit' aaj un ki bhi nazar mein mera afsana hai