har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen shabnam kabhi shoala kabhi tufan hain aankhen aankhon se badi koi taraazu nahin hoti tulta hai bashar jis mein wo mizan hain aankhen aankhen hi milati hain zamane mein dilon ko anjaan hain hum tum agar anjaan hain aankhen lab kuchh bhi kahen is se haqiqat nahin khulti insan ke sach jhut ki pahchan hain aankhen aankhen na jhukin teri kisi ghair ke aage duniya mein badi chiz meri jaan! hain aankhen