har waqt ye dil aap ki taswir nihaare

By nasir-misbahiJanuary 4, 2024
har waqt ye dil aap ki taswir nihaare
bechaara akela hai bhala kis ko pukare
kyon aankh se bah jae na ashkon ka samundar
ek 'umr basar karni hai yaadon ke sahaare


kya bhul gae hum mein ye duniya bhi bati thi
sab aap ke hisse mein tha aur aap hamare
aankhen jo tere nam thin ab bhi wo teri hain
aansu ke kai qatre abhi tak hain kunware


wo main hi tha pagal ki teri chah mein gum tha
haalanki kiye waqt ne har-chand ishaare
yak-lakht jo ujda hai to dobara na dekha
ma'sum se sapne ko koi yun to na mare


khushbu na koi rang na kaliyon ka tabassum
is daimi patjhad ko koi kaise guzare
'nasir' zara nindon se bhi atkheliyan kar le
ye chand bhi ab dub gaya bujh gae tare


83105 viewsghazalEnglish