hare-bhare mausam ka manzar suraj ke us par bhi hai

By miraq-mirzaJuly 4, 2021
hare-bhare mausam ka manzar suraj ke us par bhi hai
baadal dariya aur samundar suraj ke us par bhi hai
ufuq ki us jaanib se bhi kuchh shor sunai deta hai
aawazon ka koi lashkar suraj ke us par bhi hai


gautam nanak sain jaise fikr ke logon ki khatir
raushan koi dharti ambar suraj ke us par bhi hai
jin ka hai parwaz se rishta aise parindon se puchho
dur kahin ek arz-e-munawwar suraj ke us par bhi hai


khwab ki kaenat mein dekha hum ne kal ye manzar bhi
raushni dene wala patthar suraj ke us par bhi hai
andhiyara to fikr ka paikar hai sach ki taswir nahin
taron ki baraat ka mehwar suraj ke us par bhi hai


jiwan ka ye khel tamasha yahin talak hai nahin 'miraq'
hum sab ki khatir koi ghar suraj ke us par bhi hai
89966 viewsghazalEnglish