hare hue nahin atraf ke shajar mere
By haris-bilalFebruary 6, 2024
hare hue nahin atraf ke shajar mere
mujhe to yun bhi izafi hain baal-o-par mere
bhatakne wale bhi ek roz ghar pahunchte hain
bata raha tha koi hath dekh kar mere
kuchh is liye bhi mujhe rasta durust laga
chale nahin the mere sath ham-safar mere
bichhadne par meri poron se khun risne laga
qarib rahne laga tha wo is qadar mere
main apni khoj mein nikla tha raftagan ki taraf
bikhar gae hain zamane idhar udhar mere
farokht hone pe aamada ho gaya aakhir
mujhe charagh na kahte the kuza-gar mere

14747 viewsghazal • English