hare patto sunahri dhup ki qurbat mein khush rahna magar mumkin nahin hai ek si haalat mein khush rahna magan rahte hain ye budhe shajar apni kathaon mein unhen aata hai apne zehn ki jannat mein khush rahna hum insanon ko phir jine ka maqsad hi nahin milta likha hota jo us ne sab ki hi qismat mein khush rahna ye aansu chaar din ke hain ye aansu sukh jaenge sikha denge tumhein haalat har surat mein khush rahna main apne zakhm akasr is liye bhi noch leta hun kahin shamil na ho jae meri aadat mein khush rahna sukun-e-dil ganwa baithoge tum fitrat se ladne mein jo chaho aafiyat apne qad-o-qamat mein khush rahna pukara umr ko khushiyon ne jab masruf the behad samay se sikh lete kash hum fursat mein khush rahna