harf-e-taza nai khushbu mein likha chahta hai bab ek aur mohabbat ka khula chahta hai ek lamhe ki tawajjoh nahin hasil us ki aur ye dil ki use had se siwa chahta hai ek hijab-e-tah-e-iqrar hai mane warna gul ko malum hai kya dast-e-saba chahta hai ret hi ret hai is dil mein musafir mere aur ye sahra tera naqsh-e-kaf-e-pa chahta hai yahi khamoshi kai rang mein zahir hogi aur kuchh roz ki wo shokh khula chahta hai raat ko man liya dil ne muqaddar lekin raat ke hath pe ab koi diya chahta hai tere paimane mein gardish nahin baqi saqi aur teri bazm se ab koi utha chahta hai