harf-harf chamka kar lafz-lafz mahka kar
By shamim-danishFebruary 29, 2024
harf-harf chamka kar lafz-lafz mahka kar
jab kisi se bola kar muskura ke bola kar
le ke husn ki daulat raat ko na nikla kar
dil-jalon ki basti hai kuchh to khauf rakkha kar
shaikh ho barahman ho sant ho qalandar ho
sab khuda ke bande hain sab ka man rakkha kar
lafz lafz se kaise raushni nikalti hai
sha'iron mein baitha kar ye kamal dekha kar
main ne kuchh faqiron ki jutiyan uthai hain
ai amir-e-shahr ab to mere hath chum aa kar
roz to nahin aate chahaton ke ye mausam
jab koi ghata barse thoda bhig jaya kar
sadgi zaruri hai thodi si mohabbat mein
thoda ehtiyatan bhi chhup-chhupa ke dekha kar

99412 viewsghazal • English