harf tum apni nazakat pe na lana hargiz hath bedad-o-sitam se na uthana hargiz tum bhi chori ko yaqin hai na kahoge achchha ab hamein dekh ke aankhen na churana hargiz ishq hai ek magar aafat-e-nau hai har-dam ye wo mazmun hai ki hoga na purana hargiz yahi andaz to hain dil ke uda lene ke un ki tum nichi nigahon pe na jaana hargiz sabab-e-qatl-e-mohabbat hai agar ai zalim to mera jurm kisi ko na batana hargiz dil-e-khun-gashta ka ho raaz na ifsha ai chashm ashk-e-gul-rang ka tapka na lagana hargiz hun tunak-zarf na jhelunga sharab-e-pur-zor parda yakbar na chehre se uthana hargiz hum se bimar bhi jaan-bar kahin hote hain masih tum yahan aa ke na taklif uthana hargiz jins-e-nayab ke hote hain hazaron gahak tum pata apna kisi ko na batana hargiz main to kya us se to musa bhi na sar-bar aae imtihanan hamein jalwa na dikhana hargiz jo chala tir-e-sitam dil se wo guzra ai charkh tera khali na gaya koi nishana hargiz zikr barbaadi-e-dehli ka suna kar hamdam neshtar zakhm-e-kuhan par na lagana hargiz aab-e-rafta nahin phir bahr mein phir kar aata dehli aabaad ho ye dhyan na lana hargiz wo to baqi hi nahin jin se ki dehli thi murad dhoka ab nam pe dehli ke na khana hargiz geti-afroz agar hazrat-e-nayyar rahte itna tarik to hota na zamana hargiz ab to ye shahr hai ek qalib-e-be-jaan hamdam kuchh yahan rahne ki khushiyan na manana hargiz dar-e-mai-khana hua band sada ye hai buland yan harifan-e-qadah-khwar na aana hargiz allah allah wo nawwab-e-ulai ke kalam jin se rangin nahin bulbul ka tarana hargiz tu to hai 'anwar'-o-'maikash' ki judai ka nishan dil-e-pur-dard se ai dagh na jaana hargiz saut-e-bulbul taraf-angez sahi par hamdam dard farsuda dilon ko na sunana hargiz main hun ek majma-e-ahbab ka bichhda gulchin mujh ko gul-dasta-e-rangin na dikhana hargiz jama hai majma-e-ahbab faza mein teri ai tasawwur ye muraqqa na mitana hargiz dil mein hain hasrat-o-andoh ke ambar lage itna yakja na kahin hoga khazana hargiz saqi-e-bazm teri tarz-e-taghaful ke nisar durd-e-mai ka bhi idhar jam na lana hargiz qahr laenge ye talea jo zara bhi chete ai falak khwab se un ko na jagana hargiz mahfil-e-aish se gar haz ho uthana ai dost hum se aazurda-dilon ko na bulana hargiz dar-e-fani mein na kar fikr-e-qayam ai nadan guzar-e-sail hai yan ghar na banana hargiz jin ke aiwan the ham-palla-e-qasr-e-qaisar un ki milta nahin qabron ka thikana hargiz wo gae din jo chaman-zar mein dil lagta tha sach hai yaksan nahin rahta hai zamana hargiz ham-safiran-e-chaman sab hue garm-e-parwaz ab khush aata nahin gulzar mein jaana hargiz zaghan-o-zagh ki gulshan mein sada hai har su murgh-e-khush-naghma na aawaz sunana hargiz qasr-e-haali ke hawali mein zara tum 'majruh' apni dedh int ki masjid na banana hargiz