harfon ka dil kanp raha hai lafzon ki diwar ke pichhe kis qatil ka nam likha hai lafzon ki diwar ke pichhe khun se jalta ek diya hai lafzon ki diwar ke pichhe aaj bhi kitni garm hawa hai lafzon ki diwar ke pichhe karwat le kar ek qayamat jagne wali hai ab shayad kahne ko ek sannata hai lafzon ki diwar ke pichhe sahma sahma khoya khoya kab se baitha socha raha hun kis ne mujh ko qaid kiya hai lafzon ki diwar ke pichhe sab jaane pahchane chehre main bhi tu bhi ye bhi wo bhi lashon ka ek shahr basa hai lafzon ki diwar ke pichhe lafzon ki diwar ke aage aks ubhar aaya hai kis ka khanjar le kar kaun khada hai lafzon ki diwar ke pichhe ruh-e-ghazal par tanhai mein jaane kitne war hue hain misra misra tharraata hai lafzon ki diwar ke pichhe