hargiz na ho ai dil gham-e-jaanan ki shikayat

hargiz na ho ai dil gham-e-jaanan ki shikayat
karta hai bhala koi bhi mehman ki shikayat

aazad the kab qaid-e-gham-ishq se hum ko
zanjir ka shikwa hai na zindan ki shikayat

wo ye na kahenge ki tumhein maut na aai
kis munh se karen hum shab-e-hijran ki shikayat

mashkur-e-junun aap hain wahshi tere un ko
mahmil ka gila hai na bayaban ki shikayat

go sabr qayamat ka hai darkar par ai dil
yan kufr hai us dushman-e-iman ki shikayat

sharminda kafan ne kiya is darja ki ta hashr
ab jeb ka shikwa hai na daman ki shikayat

tha un ke tasawwur mein bhi ek wasl ka aalam
ho sakti hai phir kya shab-e-hijran ki shikayat

kyon fikr ho kya apne kabhi din na phirenge
be-kar hai phir gardish-e-dauran ki shikayat

ladta hai hawa se bhi koi lakh khafa ho
beja hai teri zulf-e-pareshan ki shikayat

hain ishq ke bimar bhi duniya se nirale
hai dard ke badle unhen darman ki shikayat

in se na sitam ka na taghaful ka gila hai
ho jati hai han paki-e-daman ki shikayat

manzur nahin jab unhen khud jalwa dikhana
kyon kijiye phir hajib o darban ki shikayat

tha nazar azal hi se dil us jaan-e-jahan ki
karte raho yun abru-o-mizhgan ki shikayat

mehman dil-e-'jauhar' ka bila-izn sidhaara
paikan to gaya rah gai paikan ki shikayat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close