hargiz Thahar na daera-e-iKHtiyar tak

By bishan-dayal-shad-dehlviFebruary 26, 2024
hargiz thahar na daera-e-ikhtiyar tak
qismat ko rahbar na bana ku-e-yar tak
wo dam mein aaenge na dam-e-e'tibar tak
tu rah ek bar nahin lakh bar tak


pohncha na aaj tak dar-e-parwardigar tak
har mudda'i-e-shan dil-e-hoshiyar tak
mahrumi-e-nasib na thin dil-farebiyan
takra ke aankh rah gai naqsh-o-nigar tak


us be-khudi ki shan ke qurban jaiye
jis ka tere karam se na ho kam khumar tak
sajda-gari ki jaan hai har aarzu-e-did
lekin nazar pe dil ko nahin e'tibar tak


ab khwab mein bhi jalwa dikhane se hai gurez
lo chhin gaya nazar ka meri ikhtiyar tak
dast-e-junun ne jism ko aazad kar diya
rakkha na pairahan se laga ek tar tak


mina-e-baryab hai saghar ki bandagi
aaya kabhi na shisha-e-dil mein ghubar tak
ma’ruza-e-wafa ko sunen aap ek din
bandon ki ter sunta hai parwardigar tak


afsurdagi ka raaz nazar ki khizan mein hai
warna hai har nigah pe qurban bahaar tak
ghunche mizaj-e-'ishq pe kaste hain phabtiyan
gul hi gawah honge shahadat hazar tak


majnun ko rah-e-'ishq mein diwana dekh kar
panw ko chumne lage sahra mein khar tak
wo 'shad' kis tarah ho kisi ke huzur mein
jo dil utha sake na mohabbat ka bar tak


26853 viewsghazalEnglish