harif mujh sa agar ho to kuchh KHasara nahin

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
harif mujh sa agar ho to kuchh khasara nahin
jo khud bhi jit gaya aur koi haara nahin
lahu mein dolti phirti hai ab bhanwar ki tarah
wo ek lahr jise hum ne par utara nahin


magar ye baat bataun to kis tarah us ko
ki khamushi mein teri ab mera guzara nahin
junun ko apne parakhna tha so parakh aae
ab aur kaam koi dasht mein hamara nahin


'ajib nashsha-e-awargi hai sar pe sawar
sukun bhi aaj hamein der tak gawara nahin
65911 viewsghazalEnglish