harim-e-dil se ya arsh-e-barin se

By maulana-abdus-salam-nadviJanuary 18, 2022
harim-e-dil se ya arsh-e-barin se
tumhein hum dhund laenge kahin se
hua marne pe aaghaz-e-mohabbat
shurua hota hai ye qissa yahin se


bujhe dil ka charagh ai shama-ru aaj
jala de apne ru-e-atishin se
jo us ki justuju mein ghar se nikle
to khud khoe gae duniya-o-din se


meri taqdir aisi chandni mein
jo chamkegi to tum si mah-jabin se
sada us baam tak ab bhi na pahunchi
pukar aae use arsh-e-barin se


falak se pahle hi kuche mein un ke
nipat lena pada hum ko zamin se
chhupe chori jo kuchh karta hai zahid
khula raaz us ka us parda-nashin se


teri angdaiyan kahti hain mujh se
tujhe kuchh milne wala hai kahin se
91596 viewsghazalEnglish