harim-kaba bana di wo sar-zamin maine

By akhtar-ali-akhtarOctober 24, 2020
harim-kaba bana di wo sar-zamin main ne
tere khayal mein rakh di jahan jabin main ne
mujhi ko parda-e-hasti mein de raha hai fareb
wo husn jis ko kiya jalwa-afrin main ne


chatak mein ghunche ki wo saut-e-jaan-faza to nahin
suni hai pahle bhi aawaz ye kahin main ne
rahin-e-manzil-e-wahm-o-guman raha 'akhtar'
isi mein dhundh liya jada-e-yaqin main ne


73935 viewsghazalEnglish