haris-e-shab kabhi aasuda-e-sahar na hua

By ramz-azimabadiNovember 13, 2020
haris-e-shab kabhi aasuda-e-sahar na hua
ye karobar-e-hawas hai jo mukhtasar na hua
kisi se ho na saka khud-gazidgi ka ilaj
ye zahr wo hai ki tiryak ka asar na hua


sabhon ko bhul gaya karobar-e-hasti mein
main apne aap se ek pal bhi be-khabar na hua
jo aaj tak mere lams-e-qalam se hai mahrum
wo harf harf to hai harf-e-mo'tabar na hua


ajib baat hai patthar pe rah gaya mahfuz
wo naqsh-e-pa jo kabhi naqsh-e-rahguzar na hua
thakan se chur the rukte to phir qayamat thi
bhala hua jo kahin saya-e-shajar na hua


wo aadmi jo maqam-e-bashar samajh na saka
tamam umr farishta raha bashar na hua
khuda-parasti nahin hai to khud-parasti sahi
magar jabin ko meri zauq-e-sang-e-dar na hua


use khayal tha tashkil-e-jada-e-nau ka
kisi ke sath wo aamada-e-safar na hua
48476 viewsghazalEnglish