hasil-e-umr-e-rawan wo ek pal

hasil-e-umr-e-rawan wo ek pal
jis mein tha pahli nazar ka rup chhal

dida-o-dil ke liye hain rahnuma
ye jhijak nichi nazar abru pe bal

pyas lagti hai to kyon bujhti nahin
aap aae to hui uljhan ye hal

kya bura tha band hi rahti nazar
zindagi be-kaif si hai aaj-kal

nama-e-amal abhi be-rang hai
chaar din ki chandni jae na dhal

kaam tera hai ghani chhanw mein kya
tu musafir hai tujhe chalna hai chal

phir kahin se ek zara aawaz de
sar pe aai maut bhi jati hai tal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close