hasin KHwab dikhaya dikha ke chhoD diya

By aalam-nizamiDecember 27, 2023
hasin khwab dikhaya dikha ke chhod diya
kisi ne apna banaya bana ke chhod diya
jo us ki yaadon ka dipak kabhi hua raushan
to aansuon se bujhaya bujha ke chhod diya


kiya na us ne mere dard ko kabhi mahsus
hamesha dil ko dukhaya dukha ke chhod diya
batata kaise main hassas ke ma'ani use
so aaine ko uthaya utha ke chhod diya


main hausla na juta paya us ko chhune ka
naqab rukh se hataya hata ke chhod diya
kahin na us ki burai mein hum hue shamil
nazar se jis ko giraya gira ke chhod diya


bahut saliqe se us ne kiya nazar-andaz
qarib apne bithaya bitha ke chhod diya
na un se rakkhi kabhi raushni ki ummiden
diyon ko hum ne jalaya jala ke chhod diya


99317 viewsghazalEnglish