hasrat-e-did rahi did ka khwahan ho kar dil mein rahte hain magar rahte hain arman ho kar wo mere pas hain ehsas ye hota hai zarur is qadar dur hain nazdik rag-e-jaan ho kar hosh mein lane ki tadbir na kar ai naseh main ne paya hai unhen chaak-e-gareban ho kar khana-e-dil hai tumhaara tumhin rah sakte ho ghair ko haq ye nahin hai rahe mehman ho kar dar-e-jaanan pe pahunchna hai to is tarah pahunch chaak-dil chaak-jigar chaak-gareban ho kar rukh ka shaidai hai mail-ba-asir-e-gesu kahin kafir na wo ho jae musalman ho kar tar daman ke ude ishq ko mearaj mili zeb-e-gulshan hua gul chaak-gareban ho kar aa gaya hazrat-e-sufi ke dar-e-daulat par kya karun ab guhar-o-lal-ba-daman ho kar lazzat-e-gham pe karun rahat-e-kaunain nisar koi aae na mere dard ka darman ho kar jab koi apni haqiqat se juda hota hai thokaren khata hai duniya mein pareshan ho kar is tarah jalwa dikhate hain na main dekh sakun dil mein rahte hain magar aankh se pinhan ho kar un ka aaina hun aaine mein hai aks-e-jamal kyun na dekhen wo mujhe ghaur se hairan ho kar un ke jalwon mein jo kho jaun to dhundo na mujhe kaun milta hai kise wasil-e-jaanan ho kar baad-az-marg inayat mein tafriq na ki dil mein taswir rahi aap ki ehsan ho kar waqt aisa bhi pada baadiya-paimai mein rah mein gul jo mile khar-ba-daman ho kar