hasrat-e-shauq-e-shahadat hai nikal jaane do
By piyare-lal-raunaq-dehlwiFebruary 28, 2024
hasrat-e-shauq-e-shahadat hai nikal jaane do
aaj khanjar ko gale par mere chal jaane do
mast ho dida-e-mai-gun se zamana sara
tum jo paimane se aankh apni badal jaane do
dil bhi de denge talabgar hain gar dil ke hasin
pahle chutki se kaleja unhen mal jaane do
rokta kaun hai jati hai to jae shab-e-hijr
kala munh karne do kam-bakht ko tal jaane do
yaad-e-mizhgan hi se hasil hai mujhe lutf-e-khalish
tir chalte hain kaleje pe to chal jaane do
aisa bhi kya hai abhi aae ho jaana thero
aur do chaar ghadi dil ko bahal jaane do
tair-e-ruh pe aafat qafas-e-jism mein hai
chaar-diwar-e-‘anasir se nikal jaane do
aafat aaegi mohabbat ke gunahgaron par
khol kar dete ho kyon zulf mein bal jaane do
main ye kahta hun ki aghyar ka jama na pahan
dil ko zid hai ki mujhe bhes badal jaane do
panw rakhta hai rah-e-shauq mein ai hazrat-e-dil
sar ke bal jata hun main aankhon ke bal jaane do
chhod do kucha-e-jaanan ka tasawwur 'raunaq'
dil jo kam-bakht machalta hai machal jaane do

71164 viewsghazal • English