hasrat se qamar takta tha KHurshid-e-mubin tha

By bilal-sabirMarch 1, 2024
hasrat se qamar takta tha khurshid-e-mubin tha
ek shakhs yahan itna hasin itna hasin tha
jo shakhs mere hath mein tha sat baras tak
afsos wo hathon ki lakiron mein nahin tha


aaha wo mera sho'la-badan us ki wo banhen
uf mera muqaddar ki main ek waqt kahin tha
ek khushbu ne mausam ne hawa ne mujhe bola
tu aata zara pahle ki wo shakhs yahin tha


ek rang ka mausam hi raha karta tha 'sabir'
jab aasman tha us ka main wo meri zamin tha
90721 viewsghazalEnglish