hasraten KHamosh hain ujDe mazaron ki tarah
By balbir-rathiJanuary 2, 2024
hasraten khamosh hain ujde mazaron ki tarah
walwale raushan hain kyon phir bhi shararon ki tarah
kuchh na kuchh to hai dil-e-wahshi teri aawaz mein
warna wo kab dekhte the be-qararon ki tarah
kahkashaon par bahakte ja rahe hain aaj hum
mastiyan bikhri hain rahon mein sitaron ki tarah
ye kisi ki zulf bikhri hai ki baadal chhae hain
barq lahraati hai aanchal ke kinaron ki tarah
rafta-rafta ek qayamat ban gaya un ka shabab
wo nikharte hi gae rangin nazaron ki tarah
jam-e-gham pite bahakte ladkhadate jhumte
zindagi ka lutf lenge baada-khwaron ki tarah

55654 viewsghazal • English