hassas dil tha sharm se nam-dida ho gaya
By balraj-hairatJanuary 2, 2024
hassas dil tha sharm se nam-dida ho gaya
nahaq main us ki baat pe ranjida ho gaya
tujh se mafariqat ka nahin gham to is ka hai
main khud bhi apne waste nadida ho gaya
saghar uchhalte dekh ke kyon ro padi ghata
mahaul daf'atan bada sanjida ho gaya
budhi hawa ne pyar se phera tha sar pe hath
patta 'ajib khauf se larzida ho gaya
'hairat' kisi ka apne muqaddar pe bas nahin
parwana khud hi sham' ka girwida ho gaya

47052 viewsghazal • English