hasti ek naqsh-e-inikasi hai ye haqiqat nahin qayasi hai zauq tishna hai ruh pyasi hai sara mahaul hi siyasi hai khub gai dil mein har ada us ki kaj-adai bhi khush-ada si hai dil hai afsurda to bahaar kahan bagh mein har taraf udasi hai un ko pa kar qarar aaega ahl-e-dil ye bhi khush-qayasi hai sau hijabon mein be-hijab hai husn sau libason mein be-libasi hai muddaa tak bayan nahin hota bad-hawasi si bad-hawasi hai un ko dekha nahin 'figar' magar un ke jalwon se ru-shanasi hai