hasti mein us ka jalwa ayan pa raha hun aaj

By ahmad-armaniSeptember 30, 2021
hasti mein us ka jalwa ayan pa raha hun aaj
dil ko tasawwuraat se bahla raha hun aaj
mil jae koi bab khushi ka main is liye
phir se kitab-e-zist ko dohra raha hun aaj


ab apna zarf-e-mai-kashi dikhlane ke liye
saqi ke hathon khub piye ja raha hun aaj
mahfil mein khas un ki aqidat ke waste
hathon pe apne dil ko liye ja raha hun aaj


manzil pe main hun ya ki fareb-e-nazar hai ye
har samt main hi khud ko nazar aa raha hun aaj
un ke mariz-e-hijr ne ye kah ke jaan di
kal aaenge wo dekhne main ja raha hun aaj


'ahmad' zamana did ka hai jis ki muntazir
har-su main us ka jalwa ayan pa raha hun aaj
82020 viewsghazalEnglish