hath chhuten bhi to rishte nahin chhoda karte waqt ki shakh se lamhe nahin toda karte jis ki aawaz mein silwat ho nigahon mein shikan aisi taswir ke tukde nahin joda karte lag ke sahil se jo bahta hai use bahne do aise dariya ka kabhi rukh nahin moda karte jagne par bhi nahin aankh se girtin kirchen is tarah khwabon se aankhen nahin phoda karte shahd jine ka mila karta hai thoda thoda jaane walon ke liye dil nahin thoda karte ja ke kohsar se sar maro ki aawaz to ho khasta diwaron se matha nahin phoda karte