hath mein KHanjar aa sakta hai

By rasa-chughtaiNovember 13, 2020
hath mein khanjar aa sakta hai
ya phir saghar aa sakta hai
aankhen zakhmi ho sakti hain
zarra ud kar aa sakta hai


chhat ke upar sone wale
suraj sar par aa sakta hai
khwab mein aane wala ek din
khwab se bahar aa sakta hai


kala jadu karne wala
mashal le kar aa sakta hai
sare manzar chhup sakte hain
aisa manzar aa sakta hai


shayad koi aane wala
lamha behtar aa sakta hai
ghar ka rasta bhulne wala
chaurahe par aa sakta hai


mitti hijrat kar sakti hai
dariya chal kar aa sakta hai
87979 viewsghazalEnglish