hath pahunche bhi na the mahtab tak
By chand-kakralviJanuary 19, 2024
hath pahunche bhi na the mahtab tak
ho gae mitti sunahre khwab tak
chaal to dariya ki hum ne rok di
aa gai naubat magar sailab tak
baadalon ki mehrbani ho gai
warna kya aati nadi talab tak
is zamin ki aabyari kaise ho
kam hai jis ki pyas ko sailab tak
dukh to ye hai kaudiyon mein bik gae
kuchh gharon ke gauhar-e-nayab tak
khair ho maula siyasat aa gai
masjidon ke mimbar-o-mehrab tak
hausla tinke ka wo bhi dekh le
le chalo maujo mujhe girdab tak
ho gae mitti sunahre khwab tak
chaal to dariya ki hum ne rok di
aa gai naubat magar sailab tak
baadalon ki mehrbani ho gai
warna kya aati nadi talab tak
is zamin ki aabyari kaise ho
kam hai jis ki pyas ko sailab tak
dukh to ye hai kaudiyon mein bik gae
kuchh gharon ke gauhar-e-nayab tak
khair ho maula siyasat aa gai
masjidon ke mimbar-o-mehrab tak
hausla tinke ka wo bhi dekh le
le chalo maujo mujhe girdab tak
55881 viewsghazal • English