hath pakaD kar andar tak le jate hain
By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
hath pakad kar andar tak le jate hain
kuchh manzar pas-manzar tak le jate hain
hum ko diwaron se koi pyar nahin
kuchh bachche hain jo ghar tak le jate hain
roz irada karte hain mar jaane ka
roz gale ko khanjar tak le jate hain
chadhne walo zinon ki ta'zim karo
zine hi to upar tak le jate hain
bujh jate hain hum bhi suraj ke hamrah
rakh utha kar bistar tak le jate hain
ya daftar ko le aate hain ghar ke pas
ya ghar ko hi daftar tak le jate hain
ek parinda hai jo udta rahta hai
log nishane shahpar tak le jate hain
kuchh manzar pas-manzar tak le jate hain
hum ko diwaron se koi pyar nahin
kuchh bachche hain jo ghar tak le jate hain
roz irada karte hain mar jaane ka
roz gale ko khanjar tak le jate hain
chadhne walo zinon ki ta'zim karo
zine hi to upar tak le jate hain
bujh jate hain hum bhi suraj ke hamrah
rakh utha kar bistar tak le jate hain
ya daftar ko le aate hain ghar ke pas
ya ghar ko hi daftar tak le jate hain
ek parinda hai jo udta rahta hai
log nishane shahpar tak le jate hain
65627 viewsghazal • English