hath phir badh raha hai su-e-jam zindagi ki udasiyon ko salam kaun jaane ye kis ki zulfon mein ho gae hain asir-e-subh-o-sham main samajhta hun phir bahaar aai koi leta hai jab khizan ka nam koi ahl-e-junun ko samjha de aagahi to nahin hai koi dam sath do-gam to chalo warna bhul jaegi gardish-e-ayyam