hath sine pe mere rakh ke kidhar dekhte ho ek nazar dil se idhar dekh lo gar dekhte ho hai dam-e-baz-pasin dekh lo gar dekhte ho aaina munh pe mere rakh ke kidhar dekhte ho na-tawani ka meri mujh se na puchho ahwal ho mujhe dekhte ya apni kamar dekhte ho par-e-parwana pade hain shajar-e-shama ke gird barg-rezi-e-mohabbat ka samar dekhte ho bed-e-majnun ko ho jab dekhte ai ahl-e-nazar kisi majnun ko bhi aashufta-basar dekhte ho shauq-e-didar meri nash pe aa kar bola kis ki ho dekhte rah aur kidhar dekhte ho lazzat-e-nawak-e-gham 'zauq' se ho puchhte kya lab pade chatte hain zakhm-e-jigar dekhte ho