hath uske hain aur dua main hun

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
hath us ke hain aur du'a main hun
ye nahin kah raha khuda main hun
achchha to raat tum the pahlu mein
main ne samjha ki dusra main hun


koi rahbar ho koi rahzan ho
qafila wo hai rasta main hun
karobar-e-sukun jari hai
chhinta wo hai mangta main hun


sare dariya usi ki jaanib hain
tairta wo hai dubta main hun
bhid lag jati hai marizon ki
chaaragar wo hai aur dawa main hun


tar aise jude hain aankhon ke
sochta wo hai bolta main hun
chhap rahi hai abhi kitab-e-dil
sar-waraq wo hai hashiya main hun


40615 viewsghazalEnglish