hath uske hath se ab yun phisalta ja raha hai

By feroz-ahmedApril 24, 2021
hath us ke hath se ab yun phisalta ja raha hai
jism se jaise hamara dam nikalta ja raha hai
dil kisi ka tod kar us ne bikheri zindagi ab
jodne ki zid mein wo khud hi bikharta ja raha hai


faslon ko ab mitane ke liye us ki hi jaanib
main khisakta ja raha hun wo simatta ja raha hai
raste par aag hai barish bhi hai kante bhi hain par
apni dhun mein wo musafir khub chalta ja raha hai


wo sanwar kar jab nikalti hai gali mein tab koi gar
bol de us ko hamara dil ujadta ja raha hai
tum koi shair nahin 'faez' magar ye baat bhi hai
gul koi tarik raaton mein mahakta raha hai


68212 viewsghazalEnglish