hausle jin ke bhi buland nahin

By
hausle jin ke bhi buland nahin
meri nazron mein arjumand nahin

jab se dekha hai un ko rote hue
tab se barish mujhe pasand nahin

jitna hum aap ko samajhte the
aap utne to ‘aql-mand nahin

haal-e-dil aap ko sunate magar
hum abhi itne hosh-mand nahin

main sitaron ko fath kar lun magar
meri zambil mein kamand nahin

yar ye apni khush-nasibi hai
dar-e-tauba khula hai band nahin

dard mera samajh sake jo 'asar'
ab koi aisa dard-mand nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close