hausle jine ke dil ko bebasi deti rahi aarzu pazhmurdagi ko tazgi deti rahi main ne apne aage un ko sar uthane na diya hadson ko mat meri sar-kashi deti rahi rah gaya main naz-bardari mein us ki umr bhar zindagi mujh ko fareb-e-zindagi deti rahi khun-e-dil deta raha main sham-e-hasti ko sada aur ye auron ko apni raushni deti rahi ek taraf deti rahi mujh ko ajal apna payam ek taraf aawaz mujh ko zindagi deti rahi gir pade qadmon pe aa ke taj shahon ke 'zahir' ye waqar aur shan azmat sadgi deti rahi