hawa bahut tez chal rahi hai main KHud ko bhi tez kar raha hun
By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
hawa bahut tez chal rahi hai main khud ko bhi tez kar raha hun
ki apne andar ki intihaon ko aur mahmez kar raha hun
badan hun main aur badan zamin hai zamin mein karta hun kasht-kari
jo mujh ko banjar diya gaya tha main us ko zarkhez kar raha hun
bana raha hun tujhe wo kursi main jis pe likhne ko baithta tha
tu mujh ko tasrif de ki khud ko tere liye mez kar raha hun
tujhe pata bhi nahin chalega ki mera majzub ho gaya tu
main teri mitti ko apne pani mein yun ham-amez kar raha hun
bana raha hun main 'farhat-ullah-khan' ke lafzon ko 'farhat-ehsas'
kahin ho rumi koi to sun le ki khud ko tabrez kar raha hun

70705 viewsghazal • English