hawa-e-sham chale to bikharne lagti hun main dasht-e-dil se simat kar guzarne lagti hun azal se ta-ba-abad ek lamha mera hai teri nigah mein jis dam thaharne lagti hun nazar ke lams se rang-e-badan chhupati rahi main titliyon ki tarah kyon ki marne lagti hun mili firaq ke aaine mein panah mujhe visal-e-harf mein dhal kar sanwarne lagti hun waraq pe sada tamanna ke khal-o-khad hain magar main soch kar tujhe kuchh rang bharne lagti hun jab aagahi ke khadd-o-khal dekhti hun kabhi to apne husn-e-tahayyur se darne lagti hun agar tu wada nibhata nahin to us lamhe main apne aap se bhi khud mukarne lagti hun