hawa-e-sham se diwar mein shigaf aaya

By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
hawa-e-sham se diwar mein shigaf aaya
badan mein jitna andhera tha zer-e-naf aaya
ye tajraba bhi hua sardiyon ki raaton mein
main so gaya to mujhe odhne lihaf aaya


kai gunah meri sohbaton mein the lekin
nikal ke khema-e-shab se main saf saf aaya
use qubul hain aawara-gardiyan meri
ki mere hisse mein phir mausam-e-tawaf aaya


chalo ye band bhi tuta ki aaj mere nam
muafiqin ki jaanib se ikhtilaf aaya
93542 viewsghazalEnglish