hawa-e-tez ke aage kahan rahega koi diye pe waqt sada mehrban rahega koi ai dost hum bhi zamin par dhuen ki surat hain faza mein kitna dhuan hai dhuan rahega koi ajib naqsh banae hain wahshat-e-dil ne magar ye ret hai is par nishan rahega koi makan-e-dil ki sabhi raunaqen makinon se makin hi na rahe to makan rahega koi suragh laegi kitne nae jahanon ka ye aagahi ka safar raegan rahega koi jo dil ki jhil hi jazbon se ho gai khali to apni aankh mein aab-e-rawan rahega koi hum apne sath hi le jaenge jahan apna hamare baad to yunhi jahan rahega koi