hawa ka hath pakaD kar yahan jo chalta hai
By irfan-aazmiFebruary 6, 2024
hawa ka hath pakad kar yahan jo chalta hai
har ek daud mein aage wahi nikalta hai
isi liye to zara rukh badal ke chalta hai
ab is zamin pe suraj ka panw jalta hai
zarur koi na koi makan jalta hai
julus jab bhi mere shahr mein nikalta hai
hum apne shahr ke mal'ab mein gend kya khelen
hamare shahr ki galiyon mein sar uchhalta hai
amir-e-shahr ke arman abhi kahan nikle
abhi gharib ke ghar mein charagh jalta hai
ye kah ke jhuggiyan todin mahal-nashinon ne
ye wo jagah hai jahan inqalab palta hai
sukun lut liya shahr ke ujalon ne
andheri raat mein chhat par koi tahalta hai
wahan khuda ki khudai pe shak ma'az-allah
hazar chashma-e-zamzam jahan ubalta hai
ab is sukhan mein kisi ko bhi ikhtilaf nahin
jo dusron ko jalata hai wo bhi jalta hai
wo mere sath chale bhi to is tarah 'irfan'
ki jaise koi janaze ke sath chalta hai

65020 viewsghazal • English