hawa ke jhonke jo aaen to un se kuchh na kaho
By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
hawa ke jhonke jo aaen to un se kuchh na kaho
jo aag khud hi lagai hai us mein jalte raho
ye dil ka dard to sathi tamam 'umr ka hai
khushi ka ek bhi lamha mile to us se milo
hamesha sach hi nahin bolta hai aaina
khud apne aap se har lahza 'umr mat puchho
yahan to kuchh bhi nahin juz khala-e-be-payan
hamari aankhon ki gahraiyon mein mat jhanko
khula hai aur na khulega kisi ka darwaza
to aao kucha-e-jaanan ko shab-ba-khair kaho

39582 viewsghazal • English