hawa ke waste ek kaam chhod aaya hun diya jala ke sar-e-sham chhod aaya hun kabhi nasib ho fursat to us ko padh lena wo ek khat jo tere nam chhod aaya hun hawa-e-dasht-o-bayaban bhi mujh se barham hai main apne ghar ke dar-o-baam chhod aaya hun koi charagh sar-e-rahguzar nahin na sahi main naqsh-e-pa ko bahar-gam chhod aaya hun abhi to aur bahut us pe tabsire honge main guftugu mein jo ibham chhod aaya hun ye kam nahin hai wazahat meri asiri ki paron ke rang tah-e-dam chhod aaya hun wahan se ek qadam bhi na ja saki aage jahan pe gardish-e-ayyam chhod aaya hun mujhe jo dhundhna chahe wo dhundh le 'ejaz' ki ab main kucha-e-gum-nam chhod aaya hun