hawa ki zad mein patte ki tarah tha wo ek zakhmi parinde ki tarah tha kabhi hangama-za tha be-sabab wo kabhi gunge tamashe ki tarah tha khilaunon ki numaish thi jahan wo kisi gum-gashta bachche ki tarah tha sambhalta kya ki sar sar sail mein wo ukhadte girte kheme ki tarah tha ugalta bulbule phul aur shole wo chabi ke khilaune ki tarah tha the us ke baal-o-par qainchi ki zad mein wahi tanha farishte ki tarah tha ana-inkar mein aaina tuta jo bar-e-dosh chehre ki tarah tha