hawa ki zad pe charagh-e-shab-e-fasana tha magar hamein bhi usi se diya jalana tha hamein bhi yaad na aai bahaar-e-ishwa-taraaz use bhi hijr ka mausam bahut suhana tha safar azab sahi dasht-e-gumrahi ka magar kati tanab to khema ujad hi jaana tha hamin ne raqs kiya naghma-e-fana par bhi hamein hi palkon pe hijrat ka bar uthana tha usi ki gunj hai tar-e-nafas mein ab ke miyan sada-e-hu ko bhi warna kise jagana tha hum aise khak-nashinon ka zikr kya ki hamein lahu ka qarz to har haal mein chukana tha wo mere khwab chura kar bhi khush nahin 'ajmal' wo ek khwab lahu mein jo phail jaana tha