hawa ko aur bhi kuchh tez kar gae hain log charagh le ke na jaane kidhar gae hain log safar ke shauq mein itne azab jhele hain ki ab to qasd-e-safar hi se dar gae hain log dhuan dhuan nazar aati hain shahr ki galiyan suna hai aaj sar-e-sham ghar gae hain log jahan se nikle hain raste musafiron ke liye makan aise bhi tamir kar gae hain log kabhi kabhi to judai ki lazzaten de kar rafaqaton mein naya rang bhar gae hain log malal-e-tark-e-talluq na jaane kya hota khayal-e-tark-e-talluq se mar gae hain log ghurur tund hawaon ka yun bhi toda hai charagh hath pe rakh kar guzar gae hain log koi jawab nahin fikr ki bulandi ka zamin pe rah ke bhi aflak par gae hain log qarib the to faqat wasta tha aankhon se juda hue hain to dil mein utar gae hain log wo gesuon ki ghata ho ki dar ka saya jahan bhi chhanw mili hai thahar gae hain log ye aur baat ki ghar bujh gae hain ai 'shaer' magar watan mein charaghan to kar gae hain log