hawa mein jo ye ek namnaki hai

By rafiq-raazNovember 13, 2020
hawa mein jo ye ek namnaki hai
sada tez raftar dariya ki hai
qadam rok mat pichhe mud ke na dekh
ye aawaz kam-bakht duniya ki hai


makan to mera la-makan ho gaya
shikayat magar tangi-e-ja ki hai
bhadakta hai shola sa rang-e-sukut
qalandar ke lahje mein be-baki hai


pada rah badan ke dariche na khol
meri ungliyon mein hawasnaki hai
shajar se lipat kar na roegi ye
hawa jo chali hai wo sahra ki hai


mere shisha-e-la-zaman par abhi
bahut gard imroz o farda ki hai
chamak aankh mein hairaton ki nahin
bas ek dhup tab-e-tamasha ki hai


19691 viewsghazalEnglish