hawa mein kuchh to ghula tha ki hont nile hue gale lagate hi taza gulab pile hue na dasht-e-jaan pe barsi rafaqaton ki phuwar na aankh mein chamak aai na lab hi gile hue andhere odhna chahe to badliyan chamkin charagh ujalna chahe to lakh hile hue tamam raat usi kohar ke jazire par ulajh ulajh ke shuaon ke hath nile hue mohabbaton ko badhao ki ranjishen bhi miten sukun na hoga agar mukhtalif qabile hue kuchh itni tez hai ye lafz ki sharab use kashid karte hue hath bhi nashile hue tahon mein baithna chaha agar kabhi 'sajjad' gale ka haar kai be-talab wasile hue