hawa mizaj badalti hai tab bikharte hain
By wasim-nadirJanuary 5, 2024
hawa mizaj badalti hai tab bikharte hain
khushi se log bulandi se kab utarte hain
tujhe bhulane ko sikha tha sha'iri ka hunar
har ek she'r mein ab tujh ko yaad karte hain
hamein pata hai tadap tishnagi ke badhne ki
isi liye to sabhi ke gilas bharte hain
ghubar is liye aankhon pe chhaya rahta hai
idhar se roz kai qafile guzarte hain
tera khayal salamat to kya hai tanhai
charagh wale kahin tirgi se darte hain

78500 viewsghazal • English